widget

Thursday 26 June 2014

Badan mein jaise lahu taaziyaanaa


Badan mein jaise lahu taaziyaanaa hogaya hai

Usay gale se lagaaye zamaanaa 
hogaya hai

Chamak raha hai ufaq tak ghubaar 
e tiira-shabi

Koi chiraaGh safar par rawaanaa 
hogaya hai

HumeiN to khair bikharna hi tha 
kabhi na kabhi

Hawaay-e-taaza ka jhoNka 
bahaanaa hogaya hai

Gharaz K poochhte kya ho ma’aal e sokhtagaaN

Tamaam jalna – jalaana fasaanaa 
hogaya hai...



Fazaay e shouq mein uski bisaat hi kya thi

Parindaa apne proN ka nishaanaa hogaya hai

Kisi ne dekha hai patjhaR mein phul khilte hue

Dil apni khush nazarii mein divaanaa hogaya hai..


No comments:

Post a Comment