widget

Thursday 26 June 2014

KyuN mujh pe hua hai mehrbaaN


KyuN mujh pe hua hai mehrbaaN 
tu
Ek zarra-e-khaak aur kahaaN tu

MaiN dhoop ki aadi ho chali thi
KyuN mujh pe bana hai sayebaaN 
tu

MaiN teri zameen-e-nisf-e-shab 
huN
TaaroN bhara mera aasmaaN tu

Aise hi hamaari soch yekjaan
MaiN nutq tera, meri zabaaN tu

Taiyyar huN maiN safar ko lekin
Kashti ka uThaaye baadbaaN tu

Kitna bhi ho sakht mera lehjaa
Deeba-o-hareer-o-parniyaaN tu

Ek aam ghareeb-e-shahr hun 
maiN
Kya sun ke karega daastaaN tu

Pat_thar mein gulaab dekhta hai
Kis darja hai mujh se khushgumaaN 
tu

Ab thoRa sa waqt rah gaya hai
Zaaye’ karuN maiN na raayegaaN 
tu



(Parveen Shakir)



No comments:

Post a Comment