widget

Wednesday 25 June 2014

Inkaar meiN iqraar ki baat aa hi gayi


Inkaar meiN iqraar ki baat aa hi 
gayi hai
BatoN meiN Gham-e-yar ki baat 
aa hi gayi hai

Aaya hai kabhi zikr agar dar'o
rasan ka
Gesoo-o-qad-e-yar ki baat aa hi 
gayi hai

Jab surKhi-e-gulshan ka kabhi 
zikr hua hai
Tere lab-o-ruKhsaar ki baat aa 
hi gayi hai

DhooNda hai agar zaKhm'e
tamana ne mudaawa 
Ek nargis-e-bimaar ki baat aa 
hi gayi hai

Mil baiThe haiN zandaaN meiN 
agar sham ko ahbab
Tere dar-o-deewaar ki baat aa hi 
gayi hai

ChaiRa hai koi talKh fasaana jo 
kisi ne
Shirini-e-guftaar ki baat aa hi 
gayi hai...


No comments:

Post a Comment