Pyar may hum ne kia paya tha
jo bhi tha ab janay do
kia samjhaein kia qissa tha jo
bhi tha ab janay do
nazrain sub kehti sunti thein
hum dono chup rehtay thay
Do nazroan ka aisa naaata toota
tha kab janay do
hum apnay munn bhed batatay
per tum ne kub dhyaan dia
hontoan ko hum nay jab si dala
aayay ho tabb janay do
sannatay kehtay hain mujh se jao
ja ker so jao
koi nahee hay anay wala beet
gayee shabb jane do..
No comments:
Post a Comment