Gham kahan nahin hai?
gham ki khoj kitni aasan hai
iss kone ke peeche uss nukkad
par,,,
yeh saamne gham hi ka tau
saaya hai yeh gham ki hi tau
aahat hai jo peecha kar raha
hai
gham hi tau hai jo saath saath
chal raha hai aasman ke neeche
jitne jeev saans lete hain
unn mein sab se zyada
ghamgeen
insaan hi tau hai kaayenaat mein
ek insaan hi hai jo khudkushi
karta hai warna yeh chehchate
parinde apne mein mast charinde
apni zindagi se naa khush
tau har giz nahin hain.....
No comments:
Post a Comment