widget

Wednesday, 30 April 2014

Mujhe ek manzil-e-khaas ka na pata chala


Mujhe ek manzil-e-khaas ka na 
pata chala, yeh bura hua
meri justaju, meri aarzoo, hui 
raaigaN, yeh bura hua

meri zest maut se kam nahi, 
mera gham bhi ab mera gham 
nahi
teri dastaaN meiN sama gai meri 
dastaaN, yeh bura hua

mujhe apne naghmoN se hai gila, 
mera raaz raaz na reh saka
woh jale chiraaghoN ki tarha, 
woh utha dhuwaan, yeh bura hua

tere intezaar meiN baith kar, 
mujhe zindagi to mili magar
mera saath choD ke chal diya, 
mera karwaaaN, yeh bura hua

mujhe yaad thi yeh na thi khabar, 
mere gham meiN hai bada asar
meri ek aah se jal gaye, kai 
aashiyaaN, yeh bura hua.

No comments:

Post a Comment