Naya Sab kuch naya..
Ye safar ye mukaam..
Ye musafir ye shaam..
Agar kuch hai pehle jaisa..
To mein hoon aur meri
tanhayi..
Haste haste yuhi ye waqt
guzar jayega..
Har rahi apni manzil pahuch
jayega..
Agar kuch hai jo reh jayega..
To mein hoon aur meri
tanhayi..
Ye khamoshi ko mitata rail
gadi ka shor..
Kaano mein gunjati chai cahi
ki roar..
Pal bhar me apne se hojane
wale log..
Phir kahi kho jayenge..
Agar kuch hai jo reh jayega..
To mein hoon aur meri
tanhayi..
Ek arze me mile the hum..
Par milne ki khushi itni..
Ki duuri ka ehsaas tak nahi
hua..
Par kisi ne sahi kaha hai..
Waqt acha ho ya bura..
Guzar jata hai Bas kuch
waise hi..
Wo khushi ke pal Ek pal ke
liye aaye aur pal bhar me
guzar gaye..
Agar kuch baki reh gaya jo
pehle jaisa hai..
To mein hoon aur meri
tanhayi..
No comments:
Post a Comment