zindagi ki kitab ke paano
par..
ye alfaz ab dhundla rahe
hai…
Aaj na jane kyu mere khwaab
mujhe uljha rahe hai…
is kalam mein syahi bhi..
bas kuch lamho ki mohtaj hai…
Par kuch likhne ki khwahish..
shayar ko mujhme uksa rahe…
kuch kehta me zindagi par
Apni ke ek khwaab achanak
sehma gaya…
jis kahani ko mein samajhta
tha adhura..
lagta hai ab uska ant aagaya…
kasme wade sab toot chuke
the..
ek aas bachi thi seene mein…
aaj us khabar ne najane..
kitni aasani se use bujha diya…
No comments:
Post a Comment