Kahaan Kahaan Se Mitaaye Ga
Khush Gumaan Meray
Teray Badan Se Teri Rooh Tak
Nishaan Meray
Kaheen Bhi Jaa K Basaa Le TU
Bhool Ki Basti
Muheet Hein Teray, Yaadon K
Aasmaan Meray
Agar-Chay Faasla Do Chand
Kar Liya TU Ne
Rawaan Dawaan Hein Teri
Simt Kaarwaan Meray
Mein Jaaon Bhi To Kahaan
Chorr Kar Teri Galiyaan
TU Kar Gaya Sabhi Raastey
Dhuwaan Dhuwaan Meray
Uboor Hotey Nahi Roz Tay To
Karta Hoon
Ye Hijar Faasley Ye Hijar-e-Be
Karaan Meray
Hawaa K Bairrey Kisi Aur
Simat Behtey Hein
Khuley Hein Aur Kisi Simat
Baadbaan Meray
Mein Apne Jazbon Ki Shiddat
Se Khauf Khata Hoon
K Dushmanon Se Hein Barrh
Kar Ye Meharbaan Meray
Mein Khuwaab Zaar Ki Karta
To Hoon Chaman Bandi
Ujaarr De Na Koi Aa K
Gulistaan Meray
Shagoofey Aa Gaye Palkoon
Pe Dard K Aakhir
Chupaa Sakey Na Meray Raaz
Raazdaan Meray
You might also like:
No comments:
Post a Comment