wusat-e-chashm-e-tar bhi
daikhain gay
hum tujhay bhool kar bhi
daikhain gay
zakhm per sabt kar na lab
apnay
zakhm ko chaara gar bhi
daikhain gay
hijr ki shab say haoslay
apnay
bach gaey to sehar bhi
daikhain gay
raat honay do,log sonay do
chand ko dar-ba-dar bhi
daikhain gay
ik dua dil say chhup kay
maangi thi
us dua ka assar bhi
daikhain gay
ik puraana safar to khatm
howa
ik nayi rahguzar bhi
daikhain gay
gin to lainay do baykafan
laashein
bay sada baam-o-dar bhi
daikhain gay
chairr kar dil ki rakh ko
mohsin
ab ke raks-e-sharar bhi
daikhain gay....
No comments:
Post a Comment