widget

Saturday, 26 July 2014

Main Zer-e-Khaak Hon Ab Tak


Main Zer-e-Khaak Hon Ab Tak 
Magar Fikr-e-Na'mo Me Hon,
Shajar Ka Khuwab Hon 
Baarg-o-Samar ki Aarzo Me Hon.

Ta'aqub Kar Raha Hon Main 
Kisi Na-Deeda Manzil Ka,
Ye Kesi Justajo Me Ye Kis ki 
Justajo Me Hon?

Mujhe Maloom Hai Mujh ko 
Samandar Tak Pohnchna Hai,
Abhi Hai Ibteda Meri Abhi Main 
Aabjo Me Hon.

Ye Mumkin Hai Wo Pehle C 
Hararat Ab Na Baaqi Ho,
Magar Zinda Yaqinan Main 
Abhi Apne Laho Me Hon.

Abhi Tu Aanso'un Se Dho 
Raha Hon Main Gunahon ko,
Namazon Tak Nahi Pohncha 
Abhi Tak Main Wazu Me Hon.

Ye Lagta Hai Bohat Maqbol 
Hota Ja Raha Hon Main,
Suna Hai Aaj Kal Ehal-e-
Sukhan ki Guftago Me Hon..



Main Gham Ki Basti Me Eid Kaise Manaon


Main Gham Ki Basti Me Eid 
Kaise Manaon.
Main Ujrri Howi Hasti Hon 
Main Eid Kaise Manaon.

Us K Aane Se Jo Ronq Saji Thi 
Mere Ghar Me.
Mar Gayin Wo Shokhiyaan Or 
Masti Main Eid Kaise Manaon.

Jab Se Bichra Hai Wo Tab Se 
Meri Aankhain.
Khon K Aansu Barasti Main Eid 
Kaise Manaon.

Ab Tu Har Mosam Be-Rang-O-
Boo Lagta Hai.
Main Ban Gaya Be-Jaan Hasti 
Main Eid Kaise Manaon.



Wednesday, 23 July 2014

Apni Apni Anaa'on Me Gum


Apni Apni Anaa'on Me Gum

Main, Muhabbat Aur Tum...!!


Uljha Rahi Hai Mujh Ko Yehi Kash-Ma-Kash


Uljha Rahi Hai Mujh Ko Yehi 
Kash-Ma-Kash..

Ke Tu Aa Basa Hai Mujh Main 
Ya Main Kho Gayi Hoon Tujh 
Main..


Humain Bilkul Hi Khali Kar Gaya Hai


Humain Bilkul Hi Khali Kar 
Gaya Hai..

Hamare Ishq Ka Dam Bharne 
Wala...


Jitne Toofan Uthaoge Mein Seh Sakti Hoon


Jitne Toofan Uthaoge Mein 
Seh Sakti Hoon,

Tez Aandhi Mein Lachakne Ki 
Ada Hai Mujh Mein.


Aaj Chaand Bhi Shabaab Pe Ha


Aaj Chaand Bhi Shabaab Pe 
Hai Aur KHUDA Bhi Fursat Me,

Shab-e-Namaz Me Meri Maut 
Maang Lo Tum...


Hasb-e-Zrorat Hum Le Lety Hain


Hasb-e-Zrorat Hum Le Lety 
Hain,

Teri Yaad Ko ISHQ-E-DAWA 
Samajh Kar.


Tuesday, 22 July 2014

Saal Dar Saal Lamha Dar Lamha Bewafaai



Saal Dar Saal Lamha Dar 
Lamha Bewafaai Jaari 
Rakhyega,

Kuch Taqleefeain Ta Umrr 
Dil-e-Aziz Hoti Hain.


Haan Theek Hai Main Apni Ana'a Ka


Haan Theek Hai Main Apni 
Ana'a Ka Mareez Hoon .
Aakhir Mere Mizaj Main Kyon 
Dakhl De Koi ..!!



Suna Hai, Ab Muhabbat Karne Wala


Suna Hai, Ab Muhabbat 
Karne Wala.....

Wafa Ki Shart Se Azaad 
Hoga.....????


Wo zaher de ke maarta


Wo zaher de ke maarta to 
duniya ki nazron me aa jata..

Kya andaz qatil tha yaro 
mohabbat kar ke chod gaya..


Aag Se Seekh Liya Hai Ye Qareena


Aag Se Seekh Liya Hai Ye
Qareena Hum Ne...!!

Bujh Bhi Jaana To Barri Dair 
Sulagte Rehna...!!


Jalayaa To Hai ‘'Daagh'’ Ke Dil Ko Tum Ne


... Daagh Dehlvi ...

Jalayaa To Hai ‘'Daagh'’ 
Ke Dil Ko Tum Ne,,,
Magar Is Kaa Hogaa Asar 
Dekh Lenaa...


Mohabbat Ko LaZim Hai Awaargi Bhi


Mohabbat Ko LaZim Hai 
Awaargi Bhi...

Nhi Ishq krta AsSar Bethy 
Bethy...


Ajeeb Shakhs Tha, Baarish Ka


Ajeeb Shakhs Tha, Baarish Ka 
Rang Dekh Ke Bhi
Khule Dareeche Pe Ek Phooldaan 
Chhod Gaya

Jo Baadalon Se Bhi Mujhko 
Chhupaaye Rakhta Tha
Badhi Hai Dhoop To Besaayibaan 
Chhod Gaya ..


Aalam-Aalam Ishq Junoon Hai


Aalam-Aalam Ishq Junoon Hai 
Duniya-Duniya Tohmat Hai
Dariya-Dariya Rota Hoon Main 
Sahra-Sahra Vahshat Hai..


Ik yahi soz-E-nihan kul mera sarmaaya hai


Ik yahi soz-E-nihan kul mera 
sarmaaya hai

dosto main kise ye soz-E-nihaan 
nazr karoon

koi qaatil sar-e-maqtal nazar 
aataa hi nahin

kis ko dil nazr karoon aur kise 
jaan nazr karoon?


tum bhi mahboob mere tum bhi 
ho dildar mere

aashnaa mujh se magar tum bhi 
nahin tum bhi nahin

Khatm hai tum pe masiha-nafasi chaaragari

meharam-e-dard-e-jigar tum bhi 
nahin tum bhi nahin


Apni laash aap uthana koi aasaan 
nahin

dast-O-baazu mere naakaara hue 
jaate hain

jin se har daur mein chamki hai 
tumhari dahleez

aaj sajde vohi aavaara hue jaate 
hain


Door manzil thi magar aisi bhi 
kuch door na thi

leke phirti rahi raste hi mein 
vehshat mujh ko

ek zakhm aisa na khaya ke bahaar 
aa jaati

daar tak leke gayaa shauq-E-
shahaadat mujh ko


Raah mein toot gaye paaon to 
maloom hua

juz mere aur mera rahnuma koi 
nahin

ek ke baad khuda ek chala aataa 
thaa

kah diya aql ne tang aake 'Khuda 
koi nahin'



Sakht Kafir Tha Jis Ne Pahle Mir


Sakht Kafir Tha Jis Ne Pahle 
‘Mir’,
Mazhab-E-Ishq Ikhtiyaar Kiya


Kash K Unhey khwab he a jaye


Kash K Unhey khwab he a jaye..

Hamari be-panah muhabbat ka!!


Monday, 21 July 2014

Ahal-e-daval mein dhuum thee


*******MUflison ki Eid *******

Ahal-e-daval mein dhuum thee 
roz-e-sa-eid ki,

muflis ke dil mein thi na kiran 
bhi ummid ki,

itne mein aur charkh ne matti 
paliid ki,

bachche ne muskuraa ke khabar 
dee jo eid ki,

fart-E-mihan se nabz ki raftaar 
ruk gayi

maan-baap ki nigaah uthi aur 
jhuk gayi

aankhein jhukin ki dast-E-tihi 
par nazar gayi

bachche ke valvalon ki dilon tak 
khabar gayi

zulf-E-sabaat gham ki havaa se 
bikhar gayi

barchhi si ek dil se jigar tak utar
 gayi

donon hujuum-E-gham se ham-
aaghosh ho gaye

ik duusare ko dekh ke Khaamosh 
ho gaye..


Neend Us Ki Hai, Dimaagh Us Ka Hai


Neend Us Ki Hai, Dimaagh 
Us Ka Hai Raaten Us Ki Hain 
Teri Zulfen Jis Ke Baazoo Par 
Parishaan Ho Gaeen...


Aagaaz to hotaa hai anjaam nahiin hotaa


Aagaaz to hotaa hai anjaam 
nahiin hotaa jab merii kahaanii 
men vo naam nahiin hotaa

jab zulf kii kaalikh men ghul jaaye 
koii rahii badnaam sahii lekin 
gumnaam nahiin hotaa

hans hans ke javaan dil ke ham 
kyon na chunen tukade
har shakhs kii qismat men inaam 
nahiin hotaa

bahate hue aansuu ne aankhon se 
kahaa tham kar jo mai se pighal 
jaaye vo jaam nahiin hotaa

din duube hain yaa duubii baaraat 
liye kashtii saahil pe magar koii koharaam nahiin hotaa..


Behtar dino ki aas lagate huye


Behtar dino ki aas lagate huye 
Habib .. 
Hum behtareen din bhi ganwate 
chale gaye..




Qasid ke haath mein hain


Qasid ke haath mein hain khat 
ke hazaar tukdhe 

Mere ek sawaal ke woh kitne 
jawab laya!!! 



Fursat-E-Kaar Faqat Chaar Ghadi Hai Yaaro


Fursat-E-Kaar Faqat Chaar 
Ghadi Hai Yaaro 
Ye Na Socho Ke Abhi Umr Padi 
Hai Yaaro 


Apne Taareek Makaanon Se To 

Baahar Jhaanko 
Zindagi Shamma Liye Dar Pe 
Khadi Hai Yaaro 


Unke Bin Jee Ke Dikha Denge 

Chalo Yoon Hi Sahi 
Baat Itni Si Hai Ke Zid Aan Padi 
Hai Yaaro 


Faaslaa Chand Qadam Ka Hai 

Manaa Len Chal Kar 
Subah Aai Hai Magar Door Khadi 
Hai Yaaro 


Kis Ki Dahleez Pe Le Jaake 

Sajaaoon Is Ko Beech Raste Men 
Koi Laash Padi Hai Yaaro 


Jab Bhi Chaahen Ge Zamaane 
Ko Badal Daalen Ge Sirf Kahne 
Ke Liye Baat Badi Hai Yaaro



Zindagi Ek Haadisa Hai


Zindagi Ek Haadisa Hai, 
Aur Aisa Haadisa, 
Maut Se Bhi Khatm Jiska 
Silsila Hota Nahin.


Sharm Ek Adaa-E-Naaz Hai


Sharm Ek Adaa-E-Naaz Hai 
Apne Hi Se Sahi 
Hai Kitni Be Hijaab Ke Hai 
Yun Hijaab Mein..


Husn Aur Us Pe Husn-E-Zan Rah Gai


Husn Aur Us Pe Husn-E-Zan 
Rah Gai Bul-Havas Ki Sharm 

Apne Pe Etemaad Hai Ghair 
Ko Aazmaaye Kyoon..


Khushi mili to kai dard ruuth gaye Mujh Se


Khushi mili to kai dard ruuth 
gaye Mujh Se..
Dua karo main phir se udaas 
ho jaun..!!!



Garam tapti dopahar hai Meri Zindgi


Garam tapti dopahar hai Meri 
Zindgi Mehe patrili dagar hai 
Meri Zindgi 

Rasto ki kuch khabar, na manjilo 
ka pata Ek anajana safar hai Meri 
Zindgi 

Har ghadi, har pal sataye, patharo 
ka darr jisse Woh chamakta kaanch 
ghar hai Meri Zindgi 

Hai beetab padhne ko jisse sara 
jahan Aaj ki tazza khabar hai Meri 
Zindgi 

Ek khushfehmi ha jisse Zindgi kehte 
hai log Uska bus ehsaas bhar hai 
Meri Zindgi 

Chahe ho agni pariksha, ya ho 
chausar ki bisaat 
Har jagah dau par hai Meri Zindgi,,


Mud mud ke use dekhna chahein


Mud mud ke use dekhna chahein 
meri aa'nkhein
Kuch door mujhe chh'orne aaya 
tha jo ek shakhs

Har zehn mein kuch naqsh-e-wafa chh'or gaya hai 
Kahne ko bhare shehr mein tanha 
tha jo ek shakhs..!!!


Saturday, 19 July 2014

Ise ishq kahu ya dewanapan khud ka


Ise ishq kahu ya dewanapan 
khud ka...

Tere naam ko dekh k dil bhi 
muskura utha hai..


Tum na samjho ge Ðil-E-Nadan ki hasrate


Tum na samjho ge Ðil-E-Nadan 
ki hasrate shayad kabhi...!!!


Najane kyu yeh Dil chahata hain 
Tumhare pass pass rehna...!!