Ik yahi soz-E-nihan kul mera
sarmaaya hai
dosto main kise ye soz-E-nihaan
nazr karoon
koi qaatil sar-e-maqtal nazar
aataa hi nahin
kis ko dil nazr karoon aur kise
jaan nazr karoon?
tum bhi mahboob mere tum bhi
ho dildar mere
aashnaa mujh se magar tum bhi
nahin tum bhi nahin
Khatm hai tum pe masiha-nafasi chaaragari
meharam-e-dard-e-jigar tum bhi
nahin tum bhi nahin
Apni laash aap uthana koi aasaan
nahin
dast-O-baazu mere naakaara hue
jaate hain
jin se har daur mein chamki hai
tumhari dahleez
aaj sajde vohi aavaara hue jaate
hain
Door manzil thi magar aisi bhi
kuch door na thi
leke phirti rahi raste hi mein
vehshat mujh ko
ek zakhm aisa na khaya ke bahaar
aa jaati
daar tak leke gayaa shauq-E-
shahaadat mujh ko
Raah mein toot gaye paaon to
maloom hua
juz mere aur mera rahnuma koi
nahin
ek ke baad khuda ek chala aataa
thaa
kah diya aql ne tang aake 'Khuda
koi nahin'
No comments:
Post a Comment