Hum to faryaad-o-fughaan,
aah-o-bakaa kartey hain
Jin se kuch ho nahin sakta,
woh dua kartey hain
Khauf-e-mehshar se,woh kab
tark-e-jafa kartey hain!
Bohat is tarah ke hungaamey
hua kartey hain
Khoob khush baash guzar,
ehl-e-safa kartey hain
Na khafa hotey hain aisey,
na khafa kartey hain
Aik andaaz-e-sukhan,tarz-e-
shikaayat thehri
Hum juda kartey hain shikway,
woh juda kartey hain
Poochta hai jo mizaaj apna
koi furqat mein
Mouh se itna hi nikalta hai,
dua kartey hain
Kuch ta’alluq to rahey,
shikwa-e-be-jaa hi sahi!
Na kiya tum ne gila,is ka gila
kartey hain
Ya Elaahi! Mere darbaan se
woh poochey aa kar
Kaun hai,kis se mulaaqaat hai,
kia kartey hain?
Purshish-e-daawar-e-mehshar
se darain kiun aashiq?
Yeh khatawaar to bandey ki
khata kartey hain
Tum ko beemaar-e-muhabbat
se bhi aar aati hai
Hum to achon ke liye roz-e-
dua kartey hain
Apney koochey mein na kijiye,
meri matti barbaad
Aap bhi khaak urraatey hain,
yeh kia kartey hain?
Dastt-e-mizzgaan ka ishaara
hai ke ruswa kijiye
Inheen haathon se woh
angisht-e-numa kartey hain
Ab yahi zid hai ke hum qatal
karain gey tujh ko
Woh to har baat mein apna
hi kaha kartey hain
Un ko parwaah nahin,kiun
dil ke khareedaar banain?
Muft ke qissey hi woh mol
liya kartey hain
Aap ke ishq mein,jo mujh ko
na karna tha,kiya
Dekhiye,aap mere waastey kia
kartey hain?
Sabar karney ka humaare bhi
yahi hai andaaz
Aap jis tarah se paimaan-e-
wafa kartey hain
Sach kaha,tazkira-e-ghair se
kia haasil hai?
Ek tamaashey ke liye,chairr
diya kartey hain
Jaan balabb jaan ke mujh ko
yeh payaam aaya hai
Lo mubarak ho ke ab ehd-e-
wafa kartey hain
DaaGh ka rashk suna ghair se
us ne to kaha
Us ki taqdeer mein jalna hai,
jala kartey hain!!!
Poet: Mirza Daagh Dehalvi
No comments:
Post a Comment