*******MUflison ki Eid *******
Ahal-e-daval mein dhuum thee
roz-e-sa-eid ki,
muflis ke dil mein thi na kiran
bhi ummid ki,
itne mein aur charkh ne matti
paliid ki,
bachche ne muskuraa ke khabar
dee jo eid ki,
fart-E-mihan se nabz ki raftaar
ruk gayi
maan-baap ki nigaah uthi aur
jhuk gayi
aankhein jhukin ki dast-E-tihi
par nazar gayi
bachche ke valvalon ki dilon tak
khabar gayi
zulf-E-sabaat gham ki havaa se
bikhar gayi
barchhi si ek dil se jigar tak utar
gayi
donon hujuum-E-gham se ham-
aaghosh ho gaye
ik duusare ko dekh ke Khaamosh
ho gaye..
No comments:
Post a Comment