widget

Friday 8 March 2013

Mohabbat aur kahani..



Mohabbat aur kahani.......??

Tumhain kesay bataein hum Mohabbat 
aur kahani mein koi rishta nahi hota 
Kahani mein tu hum wapis bhi aatay hain..

Mohabbat mein palatnay ka koi rasta nahi 
hota

Zara sochoo....!Kaheen dil mein kharashain
dalti yadon ke saffaki Kaheen daman say 
lipti hai  

Kissi  bhooli hoi sa'at ki nam naaki''Kaheen 
ankhoon kay khaimon mein Charagh'' E
khawb gul karnay ke sazish ko Hawa daiti 
hoi raaton ki chalaki

Magar banda e khaki Na janay kitnay
firaunon say uljhi hai mairay lehjay ke bay 
baaki

Mujhay daikho.!! Mairay chehray pay kitnay mousmoon ke gard,  Aur is gard ki teh mein
Samay ki dhoop mein rakha howa aik aaina, 
Aur aainay mein ta-had-e-nazar phailay

Mohabbat kay sitaray
aks ban kar  jagmagatay hain Nai dunyaon 
ka rasta  batatay hain Isi manzar mein aainay 
say uljhee kuch lakeerain hain

Lakeeron mein kahani hai Kahani aur 
mohabbat mein azal say jung jari hai
Mohabbat mein aik aisa mor aata hai

Jahaan kahani haar jati hai Kahani mein tu 
kuch kirdar hum farz kartay hain
Mohabbat mein koi kirdar farzi nahi hota
Kahani ko kai kirdar mil jul kar kaheen agay chalatay hain

Mohabbat apnay kirdaron ko khud agay 
barhati hai
Kahani mein kai kirdar zinda hi nahi rehtay
Mohabbat apnay kirdaron ko marnay nahi 
daiti Kahani kay safar mein manzaron ki 
dhool urti hai

Mohabbat ki musafat rahgeeron ko bikharnay
nahi daiti

Mohabbat aik shajar hai
Aur shajar ko is say kaya matlab Keh us kay 
saye mein jo bhi thaka hara Musafir aa kay 
baitha hai

Ab us ki nasl kaya hai, rung kesa hai
Kahan say aya hai kis simat jana hai
Shajar ka kaam tu bus chaon daina dhoop 
sehna hai

Isay is say gharz kaya hai.. Paraao dalnay 
waloon mein kis nay chaon ki taqseem ka
 jhagra uthaya hai

Kahan kis ehad ko tora Kahan wada 
nibhaya hai

Magar hum jantay hain Chaon jab taqseem 
ho jaye
Tou jalti dhoop kay naizay rag o pay mein
utartay hain

Aur is kay zakham khoorda log
Jeetay hain na martay hain.. !!

No comments:

Post a Comment