widget

Monday 18 March 2013

Mujhe jo kuch bhi kehna tha Abhi min keh nhi paya


Mujhe jo kuch bhi kehna tha 
Abhi main keh 
nhi paya Meri tehreer ki zad min 
Abhi to kuch nhi aya.

Abhi to karb likhna he Jise mehsus 

karta hon. Abhi wo khwab likhne 
hen Jo ankhon min 
palte hen Mujhe un ko bhi likhna 
hy Jinhen main dhund na paya.

Abhi wo log likhne hen. Jo kho kar 

hath malte hen Abhi wo ashk likhne 
hen Kabhi jo beh nhi paye Meri 
tehreer ki zad min Abhi bhi kuch 
nhi aya.

Abhi to mosmon ki Shokhyan 

tehreer karni hen Abhi jo phool 
kaliyan aur Sehe-e-shabnam bhi likhni hy Uthane hen abhi darya se Mujh ko 
pyas k pehre.

Abhi to khushk peron pe Mujhe rim 

jhim bhi likhni he Kahin pe dhoop 
likhni he Kahin pe teergi chaya Mere 
tehreer ki zad min Abhi to kuch nhi aya.

Abhi to mujh ko likhni hy Kisi ki 

reshmi zulfen.Kisi ki surmagii palken 
Kisi ki ankh ka kajal.
Kisi ka toot’ta badal Kisi ki piyar ki 
qasmen.

Kisi ki ankahi baten Macha den dil 

main jo halchal Abhi wo sab likhna 
he Jo mera ishq ke laye Meri tehreer 
ki zad min Abhi to kuch nhi aya.. 

Abhi to wo safar likhna he Jo darpesh 

he mujh ko Abhi to tum ko apni Piyas 
ka sehra dikhana hy Abhi to hijar ki 
likhni hen Sari matami ratein Abhi to 
aise lamhon ka bhi Tum ko lutf sunana 
he....

K jin se ashk ankhon main Magr is 

dil ko beh laye Mere tehreer ki zad 
min Abhi to kuch nhi aya.....


No comments:

Post a Comment