widget

Wednesday 6 March 2013

Meri tehreer ke aansoo




Suna hoga bohat tum ne….


kaheen aankhon ki rim jhim ka...

kahin palkon ki shabnam ka…

Parha hoga bahut tumne kahen lehjay 

ki barish ka..kaheen sagar ke aansu ka



Magar...Tum ne kabhi humdam…


kaheen daikhay...? kaheen parkhay...?

kisi tehreer ke aansoo…!!Mujhe teri 

judaai ne… yehi mairaaj bakhshi hai…

Ke main jo lafz likhta hoon woh saray 

lafz rotay hain...

ke main jo harf bunta hon woh saray

bain kartay hain...

mere sang is judaai main mere alfaz 

martay hain...

sabhi tareef kartay hain meri tehreer ki 

Lekin...


Kabhi koi nahin sunta mere alfaz ki siski


Falak bhi jo hila daalay.mere lafzon main 

hain shamil…

usi taseer ke aansu..kabhi daikho mere humdam…meri tehreer ke aansoo..!!




No comments:

Post a Comment