widget

Sunday 30 March 2014

Junoon-E-Dill Nahin Badlaa Sitamgar Bhi


Junoon-E-Dill Nahin Badlaa 
Sitamgar Bhi Nahin Badla. Yahi 
Duniyaa Ka  Charkhaa Hai Ye 
Chakkar Bhi Nahin 
Badla...

Yahaan MaQtool Ka Chaheraa 
Badaltaa  Roz Hai Lekin. Nahin 
Badla To Qaatil 
Aur Khanjar Bhi Nahin Badla. 
Sabhi Saffaak Lahroon Ki Hai 
Koshish Raasta Badlon. 

Magar Main Nay Ye Kashti Ye 
Samandar Bhi Nahin Badla. 
Yahaan Mosam Badaltay 
Hain Yahaan Chahry Badaltay 
Hain. 

Main Apny Ap Ko Lekin Badal 
Kar Bhi Nahin Badla. Na Main
Rastaa Badalta Hun Na Main 
Wapis Palat'ta Hun. Giraataa 
Roz Hai Mujh Ko Wo Thokar 
Bhi Nahin Badla. 

Main Jaisa Hun Main Waisaa 
Hun Sabhi K Saamny Hi Hun. 
Main Andar Say Nahin 
Badla Main Baahir Bhi Nahin 
Badla. Kabhi Jo Dil Badal Payaa 

To Dilbar Bhi Main Badloon Ga. 
Abhi Dill 
Bhi Nahin Badla To Dilbar Bhi 
Nahin Badla...


No comments:

Post a Comment