widget

Friday 21 March 2014

Karwan walay ghazab


Karwan walay ghazab,
Misr ka bazar ghazab,
Yousaf-e-waqt ghazab,

Us k kharidar ghazab,
Mah sa chehra ghazab,
Jheel si aankhain b ghazab,

Youn to hai zulf ghazab,
Zulf se rukhsar ghazab,
Lab-o-dandan ghazab,
Abro-e-khamdar ghazab.

Chal gayi muj pa tere husn 
ki talwar ghazab,
Ho gaya sath mere dhar ma 
hr bar ghazab,

Hr ada pr teri aya ha muja 
payrr ghazab,
Ek samandr mai liya firta hn 
mara mara..
Meri ankhoun ma qayamat k 
hain aasar ghazab,

Mehw-e-reqsan hai nazar surat'E 
halaat ajab Dil ka ha naara ajab 
YAR GHAZAAB YAR GHAZAB...

No comments:

Post a Comment