widget

Thursday 1 May 2014

Aisa toota hai tamanaon ka


Aisa toota hai tamanaon ka 
pindar k bus...
dill nay jheely hain mohabat 
mein wo aazar k bus...

ik jhonkay mein zamana meray 
hathoon say gaya...
is qadar taiz hoe waqt ki raftar 
k bus...

tu kabi mujay rakh k daikh bazar 
k beech....
is tarha toot k aen gay khridar 
k bus...

kal b sadiyon k musafit say parray 
thay donno...
darmyan aaj b parti hai wo deewar 
k bus...

ye tu ik zid hai mein shikayat na 
karon...
warna shikway tu hain itnay meray 
yar k bus....

No comments:

Post a Comment