widget

Thursday 1 May 2014

Kabhi kabhi yaad main ubharte hain


Kabhi kabhi yaad main 
ubharte hain naqsh-e-maazi 
mite mite se
Wo aazmaish dil-o-nazar ki, 
wo qurbaten si, wo fasle se

Kabhi kabhi aarzu k sehra main, 
aa k rukte hain qafle se
Wo saari baten lagao ki si, 
wo saare unwaan wisaal k se

Nigha-o-Dil ko qarar kesa, 
Nishaat-o-gham main, 
kami kahan ki
Wo jab mile hain, 
to un se har baar, ki hia ulfat
naye sire se

Bohat giran hai ye aish-e-tanha, 
kahin sabak tar, kahin gawara
Wo dard-e-pinhan k sari dunya, 
rafiq thi jis k waste se

Tumhe kaho, k rind-o-
mustahib main, hai aj shab kon
 fark aisa?
Ye aa k bethe hain mekade main,
 wo uth k aaye hain makade se...

No comments:

Post a Comment