Thursday, 28 March 2013
Thursday, 21 March 2013
Wednesday, 20 March 2013
Tuesday, 19 March 2013
Haqiqat hai Yaqeen Kar lo main
Haqiqat hai Yaqeen Kar lo main
Usko Bhool Kar Khush Hun,
Mohabbat Mar Chuki Hai Ab
Main Usko Bhool Kar Khush Hun,
Badalti Rut Ki Wajah Se Tabiyat
Kuch hai Bojhal si,
Yun Mera Haal Na Pocho
Main Usko Bhool Kar Khush Hun,
Tumhein Kiya Weham Hai kyun
Raat Bhar Milne Nahi Aatien?
Aey Meri Neend Ki Pariyo main
Usko Bhool Kar Khush Hun,
Udasi Saare Ghar mein Phelti Jati
Hai Gham Ban Kar.
Tum har Deewar Par Likh do Main
Usko Bhool kr khush hon,,,
Monday, 18 March 2013
Suno tum ne kaha tha na
Suno tum ne kaha tha na. . . .!!
Mujhe jazb-e-mohabat se kabhi jo
tum pukaro gi Main us din lout aon
ga To dekho na
Kayi lamhon''Kayi salon''Kayi sadiyon.
Se tera rasta takti Ye meri muntazir
ankhen.
Mere dil ki ye dharkan aur sansen
Bas tumhara nam leti hen Wohi ik
wird karti hen Meri ankhon k sahil
par Teri khwahish ki mojon ne.
Bari halchal machai he.
Teri taswir, sukhe phool aur tohfe
Teri chahat ki khushbu min Abhi tak
sans lete hen.
Wo sab raste k jin par tum humare
sath chalte the.
Wo sab raste jahan teri hansi k phool
khilte the Jahan perhon ki shakhon par
Hum apna nam likhte the Udasi se
bhare manzar.
Tumhare lout kar ane ki umiden
dilate hen.
Suno kuch bhi nhi badla. . . .?
Tumhare paon ki awaz sunne ki Mere
kamre ki be tarteeb chizen muntazir
hen.
Suno. . . . . ..!!!
Takmeel pati chahaton ko yon adhura
to nhi choro Mujhe mat azmao tum..
Chalo ab lout ao tum!!!!
Bahut dinon se Sarab lamhon ki wehshaton main Utar raha hon
Bahut dinon se Sarab lamhon ki
wehshaton main Utar raha hon...
Ye sochta hon Ye kiya hova hy
Sitam rasida guman ki chokhat pe
koi jugnoo Na koi tara.
Taweel raston ki dhul dekho Muhib
shamon ka ratjaga hy
Muqadaron ka mamla bhi ajeeb-tar
hy Aye....! sham-e-hijran kabhi milo
to Ye soch lena .
Main jism-o-jan k Shikasta rishton
main bat chuka hon Bahtu dinon se
hatheliyon pe ugi lakiron K junglon
main bhatak raha hon.
Mjhe tum kiya batao gi. K jab se mujh se bichri ho.
Mjhe tum kiya batao gi.
K jab se mujh se bichri ho.
Bht be-chen rehti ho.
Meri baten satati hen.
Mere lafzon k jugnu.
Ik pal ojhal nhi hote.
Meri nazmen rulati hen.
Meri ankhen jagati hen.
Mujhe tum kiya btao gi.
K tum ne baarha un ajnabi
chehron k jangal min.
Mere chehre ko dhunda he.
Kisi manus lehje par.
Kisi manus aahat par.
Palat kar aise dekha he.
K jese tum meri mojudgi
mehsus karti ho.
Mujhe tum kiya batao gi.
K kitni shabnami shamen.
Tehelte, sochte guzrin.
K kitni chandni raten.
Duaen mangte guzrin.
K kitne ashk aise the.
Jo girte hi rhe dil min.
Mujhe tum kiya batao gi.
Meri jan! Min samajhta hon.
Tumhari an-kahi baten.
K min in mosamon k aik aik
raste se guzra hon.
Min ab b lafz chunta hon.
Min ab b ashk bunta hon.
K jab se tum se bichra hon.
Tumhari zat pr guzre.
Min har mosam min rehta hon.
To phir tum kiya sunao gi.
Mujhe tum kiya batao gi...
Mujhe jo kuch bhi kehna tha Abhi min keh nhi paya
Mujhe jo kuch bhi kehna tha
Abhi main keh
nhi paya Meri tehreer ki zad min
Abhi to kuch nhi aya.
Abhi to karb likhna he Jise mehsus
karta hon. Abhi wo khwab likhne
hen Jo ankhon min
palte hen Mujhe un ko bhi likhna
hy Jinhen main dhund na paya.
Abhi wo log likhne hen. Jo kho kar
hath malte hen Abhi wo ashk likhne
hen Kabhi jo beh nhi paye Meri
tehreer ki zad min Abhi bhi kuch
nhi aya.
Abhi to mosmon ki Shokhyan
tehreer karni hen Abhi jo phool
kaliyan aur Sehe-e-shabnam bhi likhni hy Uthane hen abhi darya se Mujh ko
pyas k pehre.
Abhi to khushk peron pe Mujhe rim
jhim bhi likhni he Kahin pe dhoop
likhni he Kahin pe teergi chaya Mere
tehreer ki zad min Abhi to kuch nhi aya.
Abhi to mujh ko likhni hy Kisi ki
reshmi zulfen.Kisi ki surmagii palken
Kisi ki ankh ka kajal.
Kisi ka toot’ta badal Kisi ki piyar ki
qasmen.
Kisi ki ankahi baten Macha den dil
main jo halchal Abhi wo sab likhna
he Jo mera ishq ke laye Meri tehreer
ki zad min Abhi to kuch nhi aya..
Abhi to wo safar likhna he Jo darpesh
he mujh ko Abhi to tum ko apni Piyas
ka sehra dikhana hy Abhi to hijar ki
likhni hen Sari matami ratein Abhi to
aise lamhon ka bhi Tum ko lutf sunana
he....
K jin se ashk ankhon main Magr is
dil ko beh laye Mere tehreer ki zad
min Abhi to kuch nhi aya.....
Wo mujh se pucha karti thi
Wo mujh se pucha karti thi....
Ye jo tum lafz likhte ho Ye jo tum
harf bunte ho Yon hi benam jazbon
ko Haseen ik rang dete ho..
Tehe dil min chupi baten Jise tum
yon sunate ho Ye kis k nam karte ho
Bhala wo kon he
janaa Jo yon neenden churati he
Rag-o-jan main utarti he.
Tumhare dil min basti he Bhala wo
husn ka pekar Zara hum ko bhi batlao
Bhala wo kon he hamdam Bhala wo
kon he hamdam....?
Min sun kar sabhi ye baten Bahut
dhire se hansta tha Use bechen karta
tha Min us ko yon satata tha Min
kehta tha''''
Min bataon ga Jab us ka waqt aye ga
Abhi kuch der baqi he Wo kehti thi
Mujhe ye khof
he janaa__Kahin tum der na kardo...
Mujhe ye maan tha khud par K behte
waqt ka dhara Min us muthi min bhar
lon ga Magr shayad…!!!!!!Use jane ki
jaldi thi.
K iqrare wafa k din Wo chanchal
shokh si larki Aur us k jhilmilate
naein Manon matti min ja soye Min us
ko dhundhta hon ab.
Min khud ko rolta hon ab Use kese
bataon sab K min jo lafz likhta tha K min
jo harf bunta tha Usi k nam karta tha
Min kese kahon ye ab K han janaa……!
Tumhen jo khof lahaq tha Wo to ho gaya
mujh se Meri khali he muthi ab Han
main ne dair kar di he Bht hi dair kar di
he...
Saturday, 16 March 2013
Aao ik khel khelte hain khel mohabbat ka
Aao ik khel khelte hain khel
mohabbat ka jis main tum mujhe
chaho aur main tumhein chahon
Aur kuch nahi bas khel ho ga
Tum ghabrana nahi Tum Darna
nahi K iss khel mein bhi main
tumhare saath rahon ga
Zayada nahi toh kuch Dair to sahi
Par Khel ho ga Tum Ghabrana nahi
Main pyar se tumhare pass aoon ga
Tum se izhar-e-mohabbat keron ga
Ik phool doon ga tum ko Kaan mein
kuch keh jaon ga
Phir intezar keron ga tumhara main
Tum kya socho gi kya kaho gi
Be-chain rahon ga sochta rahon ga
main
Tum thora sa itra jana Thori si
shararat thora sa bahana banana
Mere izhar ko be shak seeney se
lagana
Par thora sa itra jana Tum na
kehna kuch dair talak ke tum bhi
chahti ho mujhe
Kuch dair talak tum mujh ko thora
sa tarpana
Phir main jab uth ker janey lagoon
To rook lena mujh ko
Haath thamna mera Tum bhi keh
dena k tum ko mujh se mohabbat
hai
Main sunon ga Itmenan se bade
Maan se Par toofan ho ga ik uchalta
hua mann mein
Tumhain bahon mein bharney ka
Pass apney bethaney ka
Phir yun ho ga ke hum tum dono
Kisi Darakht
ke Taney saa'ey Taek lagaye
Khawahishon ke kuch Diye jalaye
Aik dojey ko Taktey jain ge Kuch keh
na paein ge
Yehi kerna hai bas iss khel main
Tum ghabrana nahi Tum darna nahi
Ke yeh faqat ik khel ho ga Khel ho
ga aur bas
K kismat ki lakeeron se shayad
tujhey main pa nahi sakta
To yeh Khel hi sahi Zayda nahi toh
kuch dair hi sahi ....!
Subscribe to:
Posts (Atom)