kaha kerti ho tum aksar mujhey
ek nam aisa do pukaro jis sey tum
mujh ko to yun mehsoos ho jaisay
tumhari shairai sari meri tareef
thehri hai
jissay sun ker main khawabon ki si
kafeeyat main kho jaon
hawaon main uroon jaisay
jissay sun ker yeh dil kiya rooh tak
sarshar ho jaye
jisay sun ker meri tashna labi seerab
ho jaye jissa sun ker lagay aisay kay
barish jaisay phhlon ki
badan ke her kali jaisay ba-andaaz.E
-zikar mehkay
jissay sun ker lagay aisay key
madham sey meethay surron main
teerta meetha mahdur naghma
guzartay waqt key lamhay jissay sun
ker thehar jayen saman madhosh
ho jaye
jissay sunker baharain jatey jatey phir
sey loot ayen mujhey ek naam aisa do"
so ay meharban larki! main aksar
sochta hoon koi aisa naam tum ko doon
key jo mansoob ho tum sey
to tum ko javeedan ker day
ho koi nam aisa jo
mujasma-e-hussan-e-fitrat ho
buhat hi khoobsurat ho
kisi nazuk pari jaisa......
key jo hussan-e-jahan rang-o-boo
ka istarra ho
teray malkooti peekar ko magar
tashbeeh kis sey doon
agar main gul kahon tum ko?
magar phhool tu murjha ky aakhir
sokh jatey hain!
agar tara kahon tum ko?
sitarey toot ker laiken fiza main
kho jatey hain! kahon qaus-e-kaza
laiken?
sabhi rang ekthay mil ker bhi, tere
ruuh sey chhalkti noor ki kirno ko
na punchay!hinna ka naam don
tum ko?
magar rang-e-hina tu char din
main roth jata hai!
agar badal kahon tum ko?
ghataon sey siwa laiken tere jazbat
ki shidaat hai!
tumhain sawan kahon kaisay?
tumharey pyar ki barish tu her
mausam barasti hai!
naseem-e-subha keh doon ya kahon
baad-e-saba tum ko?
magar fitrat hawa ki tu azal sey
bewafai hai!
teri waraftgi sochon, samander
ki lehar keh doon!
magar mojjon ki tughiyani tu ek
poonam ki shab tak hai!
teri aankhain agar sochon'tumhain
may ka badal keh doon!
agar sayya kahon'jhoonka kahon'
khushboo kahon tum ko?
magar tum tu mujasma ho!
buhat kuch sochta hoon main
tumhara naaam kiya rakhon.....?
kahon jadoo , chirag-e-raah ya
manzil kahon tum ko?
kahon main justju 'koshish kahon
ya phir dil kahon tum ko?
shafaq keh doon'sahar keh doon ya
keh doon chandni tum ko?
agar khawahish kahon ya arzoo ya
zindagi tum ko?
agar sahir kahon'nasha kahon ya
be-khoodi tum ko?
ada keh doon'wafa keh doon, haya
keh doon agar tum ko?
agar sahil kahon'kashti kahon ya
nakhudha tum ko?
agar taqdeer ya inaam ya kismat
kahon tumko?
agar guncha kahon' lala kahon '
nargis kahon tum ko?
kahon main jaan ya jana ya
jaan-e-jaan tum ko?
agar jharna kahon'darya
kahon'sagar kahon tum ko?
kiran keh doon , ghata keh doon
ya phir rim jhim kehon tum ko
agar jugnu keh dpoon, shaula
kahon' shabnam kahon tum ko?
agar sheesha kahon' moti kahon
'reesham kahon tum ko?
yeh sarey naam teri zaat key pehlu
sehi laiken________
magar jachta nahin koi yeh sarey
naam fani hain!
tumhara nam aisa hi..........
jo tum ko javidan ker day
tumhain poora bayan ker day
suno ay meharban larki!
buhat hi soch ker main ney
tumhara naam rakha hai
"mohabbat"____naam__ _
kaisa hai ?
"mohabbat" jo kabhi marti nahin...
No comments:
Post a Comment