Mohabbat aur kahani.......??
Tumhain kesay bataein hum Mohabbat
aur kahani mein koi rishta nahi hota
Kahani mein tu hum wapis bhi aatay hain..
Mohabbat mein palatnay ka koi rasta nahi
hota
Zara sochoo....!Kaheen dil mein kharashain
dalti yadon ke saffaki Kaheen daman say
lipti hai
Kissi bhooli hoi sa'at ki nam naaki''Kaheen
ankhoon kay khaimon mein Charagh'' E
khawb gul karnay ke sazish ko Hawa daiti
hoi raaton ki chalaki
Magar banda e khaki Na janay kitnay
firaunon say uljhi hai mairay lehjay ke bay
baaki
Mujhay daikho.!! Mairay chehray pay kitnay mousmoon ke gard, Aur is gard ki teh mein
Samay ki dhoop mein rakha howa aik aaina,
Aur aainay mein ta-had-e-nazar phailay
Mohabbat kay sitaray
aks ban kar jagmagatay hain Nai dunyaon
ka rasta batatay hain Isi manzar mein aainay
say uljhee kuch lakeerain hain
Lakeeron mein kahani hai Kahani aur
mohabbat mein azal say jung jari hai
Mohabbat mein aik aisa mor aata hai
Jahaan kahani haar jati hai Kahani mein tu
kuch kirdar hum farz kartay hain
Mohabbat mein koi kirdar farzi nahi hota
Kahani ko kai kirdar mil jul kar kaheen agay chalatay hain
Mohabbat apnay kirdaron ko khud agay
barhati hai
Kahani mein kai kirdar zinda hi nahi rehtay
Mohabbat apnay kirdaron ko marnay nahi
daiti Kahani kay safar mein manzaron ki
dhool urti hai
Mohabbat ki musafat rahgeeron ko bikharnay
nahi daiti
Mohabbat aik shajar hai
Aur shajar ko is say kaya matlab Keh us kay
saye mein jo bhi thaka hara Musafir aa kay
baitha hai
Ab us ki nasl kaya hai, rung kesa hai
Kahan say aya hai kis simat jana hai
Shajar ka kaam tu bus chaon daina dhoop
sehna hai
Isay is say gharz kaya hai.. Paraao dalnay
waloon mein kis nay chaon ki taqseem ka
jhagra uthaya hai
Kahan kis ehad ko tora Kahan wada
nibhaya hai
Magar hum jantay hain Chaon jab taqseem
ho jaye
Tou jalti dhoop kay naizay rag o pay mein
utartay hain
Aur is kay zakham khoorda log
Jeetay hain na martay hain.. !!
No comments:
Post a Comment