Aao ik khel khelte hain khel
mohabbat ka jis main tum mujhe
chaho aur main tumhein chahon
Aur kuch nahi bas khel ho ga
Tum ghabrana nahi Tum Darna
nahi K iss khel mein bhi main
tumhare saath rahon ga
Zayada nahi toh kuch Dair to sahi
Par Khel ho ga Tum Ghabrana nahi
Main pyar se tumhare pass aoon ga
Tum se izhar-e-mohabbat keron ga
Ik phool doon ga tum ko Kaan mein
kuch keh jaon ga
Phir intezar keron ga tumhara main
Tum kya socho gi kya kaho gi
Be-chain rahon ga sochta rahon ga
main
Tum thora sa itra jana Thori si
shararat thora sa bahana banana
Mere izhar ko be shak seeney se
lagana
Par thora sa itra jana Tum na
kehna kuch dair talak ke tum bhi
chahti ho mujhe
Kuch dair talak tum mujh ko thora
sa tarpana
Phir main jab uth ker janey lagoon
To rook lena mujh ko
Haath thamna mera Tum bhi keh
dena k tum ko mujh se mohabbat
hai
Main sunon ga Itmenan se bade
Maan se Par toofan ho ga ik uchalta
hua mann mein
Tumhain bahon mein bharney ka
Pass apney bethaney ka
Phir yun ho ga ke hum tum dono
Kisi Darakht
ke Taney saa'ey Taek lagaye
Khawahishon ke kuch Diye jalaye
Aik dojey ko Taktey jain ge Kuch keh
na paein ge
Yehi kerna hai bas iss khel main
Tum ghabrana nahi Tum darna nahi
Ke yeh faqat ik khel ho ga Khel ho
ga aur bas
K kismat ki lakeeron se shayad
tujhey main pa nahi sakta
To yeh Khel hi sahi Zayda nahi toh
kuch dair hi sahi ....!
No comments:
Post a Comment