Suna hoga bohat tum ne….
kaheen aankhon ki rim jhim ka...
kahin palkon ki shabnam ka…
Parha hoga bahut tumne kahen lehjay
ki barish ka..kaheen sagar ke aansu ka
Magar...Tum ne kabhi humdam…
kaheen daikhay...? kaheen parkhay...?
kisi tehreer ke aansoo…!!Mujhe teri
judaai ne… yehi mairaaj bakhshi hai…
Ke main jo lafz likhta hoon woh saray
lafz rotay hain...
ke main jo harf bunta hon woh saray
bain kartay hain...
mere sang is judaai main mere alfaz
martay hain...
sabhi tareef kartay hain meri tehreer ki
Lekin...
Kabhi koi nahin sunta mere alfaz ki siski
Falak bhi jo hila daalay.mere lafzon main
hain shamil…
usi taseer ke aansu..kabhi daikho mere humdam…meri tehreer ke aansoo..!!
No comments:
Post a Comment