Mujhe jo kuch bhi kehna tha
Abhi main keh
nhi paya Meri tehreer ki zad min
Abhi to kuch nhi aya.
Abhi to karb likhna he Jise mehsus
karta hon. Abhi wo khwab likhne
hen Jo ankhon min
palte hen Mujhe un ko bhi likhna
hy Jinhen main dhund na paya.
Abhi wo log likhne hen. Jo kho kar
hath malte hen Abhi wo ashk likhne
hen Kabhi jo beh nhi paye Meri
tehreer ki zad min Abhi bhi kuch
nhi aya.
Abhi to mosmon ki Shokhyan
tehreer karni hen Abhi jo phool
kaliyan aur Sehe-e-shabnam bhi likhni hy Uthane hen abhi darya se Mujh ko
pyas k pehre.
Abhi to khushk peron pe Mujhe rim
jhim bhi likhni he Kahin pe dhoop
likhni he Kahin pe teergi chaya Mere
tehreer ki zad min Abhi to kuch nhi aya.
Abhi to mujh ko likhni hy Kisi ki
reshmi zulfen.Kisi ki surmagii palken
Kisi ki ankh ka kajal.
Kisi ka toot’ta badal Kisi ki piyar ki
qasmen.
Kisi ki ankahi baten Macha den dil
main jo halchal Abhi wo sab likhna
he Jo mera ishq ke laye Meri tehreer
ki zad min Abhi to kuch nhi aya..
Abhi to wo safar likhna he Jo darpesh
he mujh ko Abhi to tum ko apni Piyas
ka sehra dikhana hy Abhi to hijar ki
likhni hen Sari matami ratein Abhi to
aise lamhon ka bhi Tum ko lutf sunana
he....
K jin se ashk ankhon main Magr is
dil ko beh laye Mere tehreer ki zad
min Abhi to kuch nhi aya.....
No comments:
Post a Comment