widget

Monday, 18 March 2013

Wo mujh se pucha karti thi


Wo mujh se pucha karti thi....

Ye jo tum lafz likhte ho Ye jo tum 

harf bunte ho Yon hi benam jazbon 
ko Haseen ik rang dete ho..

Tehe dil min chupi baten Jise tum 

yon sunate ho Ye kis k nam karte ho 
Bhala wo kon he
janaa Jo yon neenden churati he 
Rag-o-jan main utarti he.

Tumhare dil min basti he Bhala wo 

husn ka pekar Zara hum ko bhi batlao 
Bhala wo kon he hamdam Bhala wo 
kon he hamdam....?

Min sun kar sabhi ye baten Bahut 

dhire se hansta tha Use bechen karta 
tha Min us ko yon satata tha Min 
kehta tha''''

Min bataon ga Jab us ka waqt aye ga 

Abhi kuch der baqi he Wo kehti thi 
Mujhe ye khof 
he janaa__Kahin tum der na kardo...

Mujhe ye maan tha khud par K behte 

waqt ka dhara Min us muthi min bhar 
lon ga Magr shayad…!!!!!!Use jane ki 
jaldi thi.

K iqrare wafa k din Wo chanchal 

shokh si larki Aur us k jhilmilate 
naein Manon matti min ja soye Min us 
ko dhundhta hon ab.

Min khud ko rolta hon ab Use kese 

bataon sab K min jo lafz likhta tha K min 
jo harf  bunta tha Usi k nam karta tha 
Min kese kahon ye ab K han janaa……!

Tumhen jo khof lahaq tha Wo to ho gaya 

mujh se Meri khali he muthi ab Han 
main ne dair kar di he Bht hi dair kar di 
he...

No comments:

Post a Comment