Agar kabhi koi lamha Aisa zakhm
de jaye.K koi bhi marham us Zakhm
ko na bher paye.
Tum udas mat hona Mehv-e-yaas
mat hona.Zindgi k sub mausam
Aik se nahi hote.
Saray log ay humdum Aik se nahi
hote.Zindgi ki rahon main Hadsey
bhi atey hain.
Hadson se barh ker kuch Waaqay
bhi atay hain.
Waqt k hi marhum se Zakhm bher
bhi jatay hain.
Din buray hon ya achay Bus guzer
hi jatay hain.
Waqt ko guzerna hai Zakhm ko bhi
bherna hai.
Dard k charhay derya Ko abhi
uterna hai.
Tum udas mat hona Mehv-e-yaas
mat hona.'''
No comments:
Post a Comment