Kal Hamesha ki tarah us nay kaha
yeh phone par ...
Main bohot masroof hoon, mujh ko
bohot sey kaam hain ...
Is liye tum aao milney, mai to aa
sakti nahi ...
Har riwaayat torr kar is baar main ne
keh diya ...
Tum jo ho masroof to main bhi bohot
masroof hoon ...
Tum agar ghamgeen ho, main bhi
bohot ranjoor hoon ...
Tum thakan sey choor to main bhi
thakan sey choor hoon ...
Jaan-e-man hai waqt mera bhi bohot
hi qeemti ...
Kuch puraanay doston nay milnay aana
hai abhi ...
Main bhi ab farigh nahi, mujh ko bhi
laakhon kaam hain ...
Warna kehney ko to sab lamhey
tumhare naam hain ...
Meri Aankhein bhi bohat bojhal hain,
sona hai mujhe ...
Ratjago'n k baad ab neendon main
khona hai mujhe ...
Main lahoo apni anaaon ka baha sakta
nahi ...
Tum nahi aateen to milney main bhi aa
sakta nahi ...
Us ko yeh keh ke WASI main nay receiver
rakh diya ...
Aur phir apni anaa k paaoon pay sar
rakh diya ...
No comments:
Post a Comment