Arz-e-tamanna ker ke ginwaya
hum ne bharam khudari ka
ho gai go takmeel dil ko nidamat
ajj bhi hai
na jane koun si manzil judai ban
ke aa jae
jo raaste mein mile hum safar uss
ko nahi kehte
tu hai hamrah to kaante bhi maza
deene lage
warna kehne ko kai baar safar
hum ne kiya
abb ke jo thak ke giron to mughe
soone dena
jism saara mughe zakham safar
lagta hia
safar yeh wapsi ka hole hole teh
kiya meine
tumhain awaz deni hai tumhain
wapis bulana hai
kuch log safar ke liye hote nahi
mozon
kuch raaste katte nahi tanha isse
kehna....
No comments:
Post a Comment