Mery haalaat ki abtari dekh
kar Us k abbu ne thukra diya
tha mujhy . .
Phir achanak wo ik anjuman
mein mili Apni khamosh
palkain jhukaye huay . .
Wo mery pas aa kar kharri ho gai
Chand lamho’n talak khanjar'E
khamoshi Dheeray dheeray
kalaij’on mein chalta raha. .
Waqt hairan aankho’n ko malta
raha Phir zara daair mein mozu'E
guftugu. .Apny hath aa gaya. .
Yani mosam, siyasat, ghum'E
zidagi. .Dair tak us se jee bhar k
baatain hui’n. .
Phir wo chaltay huay aik pal ko
ruki . .Mujh se kehny lagi:
Shayari se bhala kia mila aap ko?
Sirf palko’n ka num?
Sirf yaado’n ka ghum?
Aap ki shohratain, aap ko besh'o
kam . .Kuch na de gi kabhi
shayari mohtaram. . !
Mat bura maniye ga meri baat ka.
Ye taqaza hai mojooda haalaat ka.
Is liye jan'E man shayari chorr kar.
Fann k in raigzaaro’n se munh morr
kar. .Ab Dubai aur Musqat ka rukh
kejiye. .
Chand barso’n mein jab aap ki jaib
mein. .Aath dus laakh ho’n. .
Tab watan aaiye. .
Aur abu se phir maang lejiye mujhy.!
No comments:
Post a Comment