Baat niklegi to phir door talak
jayegi log bevazha udasi ka sabab
puchhenge
ye bhi puchhhenge tum itni
pareshan kyun ho
ungaliyan utthengi sookhe hue
baalon ki taraf ik nazar dekhenge
guzare hue salon ki taraf
choodiyon par bhi kai tanz kie
jayenge
k
aanpte hathon pe bhi fikare
kase jayenge log zalim hain har
ik baat ka tana denge
baton-baton men mera zikr bhi
leayenge
unki baton ka zara sa bhi asar
mat lena varna chehre ke tassur
se samajh jayenge
chahe kuchh bhi ho savalat n
karna mere bare men koi bat n
karna unse...
No comments:
Post a Comment