Zindagi ke mele mein
Khvahishon ke rele mein tum
se kya kahein jana is qadar
jhamele mein
waqt ki ravani hai baKht kii
girani hai saKht be'zamani hai
saKht laa'makani hai hijr ke
samandar mein taKht aur taKhte
kii ek hi kahani hai
Tum ko jo sunani hai baat go zara
si hai baat umr bhar ki hai umr
bhar kii baatein kab do gha'rii mein
hotii hain
Dard ke samandar mein an'ginat
jaziirey hain beshumaar motii hain
aa'Nkh ke dariiche mein tum ne jo
sajaayaa thaa baat us diye kii hai
Baat us gile kii hai jo lahuu kii
Khilvat mein choor ban ke aataa
hai lafz ke fasiilo'n par TuuT TuuT
jaataa hai
Zindagii se lambii hai baat rat''jage
kii hai raaste mein kaise ho baat
taKh'liye kii hai
TaKh'liye kii baato'n mein guftaguu
izaafii hai pyaar karane vaalon ko
ik nigaah kaafii hai ho sake to sun
jaao ek din akele mein
tum se kyaa kahe'n jaanaa'N
is qadar jhamele mein...
No comments:
Post a Comment