Ek hunar hai jo kar gayaa
huuN maiN
sab ke dil se utar gayaa huuN
maiN
kaise apnii haNsii ko zabt
karuuN
sun rahaa huuN ke ghar gayaa
huuN maiN
kyaa bataauuN ke mar nahiiN
paataa
jiite ji jab se mar gayaa huuN
maiN
ab hai bus apna saamnaa
darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN
maiN
voh hii naaz-o-adaa, voh hii
Ghamze
sar-ba-sar aap par gayaa huuN
maiN
ajab ilzaam huuN zamaane
kaa
ke yahaaN sab ke sar gayaa
huuN maiN
kabhii Khud tak pahunch
nahiiN paayaa
jab keh vaaN umr bhar gayaa
huuN maiN
tum se jaanaaN milaa huuN
jis din se
be-tarah, Khud se dar gayaa
huuN maiN
kuu–e–jaanaaN meN sog
barpaa hai
ke achaanak, sudhar gayaa
huuN maiN...
No comments:
Post a Comment