widget

Thursday, 17 April 2014

Sookhay hue dariya ki nishani


Sookhay hue dariya ki nishani
ke elava,sab kuch hai meri
ankh mein paani ke elava,

Aaya hoon bharay sheher se ik 
dasht ki janib, ik hijr liye naqal
makani ke elava,

chopal mein aaye dair se bethay
hue logo, kiya tum ko sunaoon 
main kahani ke elava,

Taseer nai,lehje mein mere ya 
ke zuban mein, luqnat bhi hai
azurda bayani ke elava,

kerni hai lahoo se mujhe 
aaraish-e-maqtal, aur mere lahoo
mein nahin kuch paani ke elava,

Dariya hoon so behta hi chala
jaoon ga seekha nahin kuch 
maine rawani ke elava…

No comments:

Post a Comment