widget

Wednesday 12 June 2013

Ab uss say bhi yehe kahay ga



Ab uss say bhi yehe kahay ga 

bichartay lamhon me
uss nay mujh say kaha tha dekho 
hamare rahain juda juda hain


Magar hamain aik dosray ka 

khayal rakhna hai 
zindagi bhar kisi bhi lamha 
udasyon ki faseel hayal 

na honay dena hawa k hathon pe 
likhtay rehna judaiyon k tamam 
qissay Qadam Qadam pe jo paish 
ayn wo sanahay bhi nazar me 
rakhna 

Me jab bhi lauta to apnay 
honton ki tazgi ko tumhare risti hui 
ankhon me laa rakhonga Jo mere 
apni hain, sirf mere bichartay 
lamhon main uss nay mujh say na 
janay kia kuch kaha suna tha


Aur ab uss say bhi yehe kahay ga wo

 jiss k hathon me hath dalay nayay 
safar pe nikal para hai...



No comments:

Post a Comment