widget

Wednesday 5 June 2013

Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat say niklo


Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat 
say niklo,,,

Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad 
say niklo Kinara thaam lo dil ka bhula do 
her gila shikwa''

Kabhi sachi hansi hans do purani yaad 
say niklo Khayal-e-yaar acha hai magar 
jis nay wafa na ki..

Palat ker phir sada na do, dar-e-faryad 
say niklo Nahin koi muhabbat bhi, hijr 
rut bhi, raqabat bhi

To yeh dharkan sa kya, kahiye, wehem ki 
ghaat say niklo
Sukhanwer hum say kehta hai saja loankh 
main kuch khwab..

Dharakna dil ko sikhla do, amaawas raat 
say niklo Nahin tum ko gawara ab hamara 
qurb to keh do..

Hamaray karb ki choro, tum is gardaab say 
niklo Sar-e-maqtal jo jatay ho, na ho 
darmandgi kuch bhi Zamana daikh tham jaye, kuch is andaaz say niklo,,,

No comments:

Post a Comment