widget

Wednesday 12 June 2013

Phir us k baad kitni dair taak maiN kuch nahi boli



Phir us k baad kitni dair taak maiN 

kuch nahi boli
MaiN kahti teri chahat ki fiza maiN 
punkh bharooN kesay


Wo bola k bichri huwei koonj k 

tootey huwey par se
MaiN kahti thei samandar maiN 
khushi k kis tarha utrooN


kaha be-aa’b mahi ka sa paira’haN 

pahan dekho maiN kahti thei chalo 
itna tu ho gha dard ki zanjeer tootey
 ghi


Wo bola khawab-e-zeest ki teray 

taa’beer tootey ghi
maiN kahti thei tu kia ye tey hai 
k meray khawab 
jhoothey they


Wo bola haaN yehi tey hai teray

 lufz jhoothey they
maiN kahti thei sara’bi hum they 
ya ye dunia he dhooka thei


Wo bola baat hai itni tumhari 

payaa’s zaida thei maiN kahti 
payaas asi hai k dar’yaa khud 
pukaa’ray gha


Wo bola haar jaa’oo ghi suno 

waa’pis palat jaa’oo
maiN kahti thei meray baad tum 
tanhaa na rah jaa’oo


Wo bola halqa-e-yaaraa’N bohat 

hai saath dainay ko
maiN kahti thei bohat mumkiN 
hai ye dukh jaaN lay jaa’ey

wo kahta tha tumhaiN kitna hai 
dukh maiN aazmaa’oN 
gha maiN kahti thei kaho itna 
kahaN taak aazmaa’o gay’


Wo bola bus wahaN taak , jab 

tum apni jaa’N se jaa’oo gay’
phir us k baad kitni dair taak 
maiN kuch nahi boli..

No comments:

Post a Comment