widget

Wednesday 12 June 2013

SOCHTA HON BUHAT SADA-O-MASOOM HAI WOH


Sochta hon k buhat sad-o-masoom 
hai woh Main abhi uss ko
shanasa-e-mohabbat na karon

Rooh ko iss ki aseer-e-ghum-e-ulfat 

na karon uss ko ruswa na karon 
waqf-e-museebat na karon

Sochta hon k abhi ranj say azad 

hai woh waqif-e
Dard nahi kho gar-e-alaam nahi

Sehr-e-aish main usski asr-e-shaam nahi zindagi 

uss k lye zeher bhara jaam nahi 
sochta hon k 

Mohabbat hai jawani ki khizaan 
uss nay dekha nahi 

Dunya main baharon k siwa 

nikhat-o-noor say labreiz
baharon ki tarah sabz zaron k siwa 
Aur sitaron k siwa

Sochta hon k ghum-e-dil na sunaon ussko samnay uss 

k kabhi raaz ko uryaan na karon 
khalish-e-dil say ussay
dast-o-girebaan na karon

Uss kay jazbaat ko main shola 

badaman na karon
sochta hon jala degi mohabbat 
ussko wo mohabbat 
ki bhala taab kaha layegi

Khud to wo atish-e-jazbaat main 

jal jayegi aur dunya ko iss ajnaam 
say tarpaye gi..

SOCHTA HON BUHAT SADA-O-

MASOOM HAI WOH,,
MAIN USS KO ABHI WAQIF-E-
ULFAT NA KARON'''



No comments:

Post a Comment