widget

Monday 28 April 2014

Gham kahan nahin hai


Gham kahan nahin hai?
gham ki khoj kitni aasan hai
iss kone ke peeche uss nukkad 
par,,,

yeh saamne gham hi ka tau 
saaya hai yeh gham ki hi tau 
aahat hai jo peecha kar raha 
hai

gham hi tau hai jo saath saath 
chal raha hai aasman ke neeche
jitne jeev saans lete hain
unn mein sab se zyada 
ghamgeen

insaan hi tau hai kaayenaat mein
ek insaan hi hai jo khudkushi 
karta hai warna yeh chehchate 
parinde apne mein mast charinde
apni zindagi se naa khush
tau har giz nahin hain.....

No comments:

Post a Comment