widget

Friday 25 April 2014

Kehti thi wo aksar mujhse


Kehti thi wo aksar mujhse…
Ek na huye to kya hoga..
Jaise use pata tha ki waqt 
badalne wala hai…

Aur mein has kar taal deta 
tha ki..
Ye sab sochke kya fayeda…
Kehti thi wo aksar mujhse…
Ki mein chali gayi to kya hoga..

Jaise use pata ho ki humari 
manzil ek nahi…
Aur mein har kar taal deta tha 
ki..Ye sab sochke kya fayeda…
Kehti thi wo aksar mujhse…

Ki mein tumhare bin nahi reh 
paungi…Jaise use pata ki uske 
bin to mein bhi na reh paunga..

Aur mein has kar taal deta tha 
ki..Ye sab sochke kya fayeda…
Wo din kuch ajeeb tha…
Jo usne mujhse kuch na kaha..

Mein haira paresha aakhir bol 
hi pada…Aaj kuch nahi kahoge..
Usne muskura kar meri taraf 
dekha aur boli…

Tum har soch mein fayeda kyu 
dekhte ho…
Isbaar mein taal na paya..aur 
keh diya..Jina to tab bhi hai aur 
aaj bhi…

To jo hua nahi wo soch kar kya 
fayeda…Kal na tumne dekha 
hai na maine…
Jo hoga anjaan hai humse…

To kyu na hum aaj jiye… 
kalka ka sochke kya fayeda…

No comments:

Post a Comment