Click to join the conversation
loading

widget

Thursday, 17 April 2014

Ik Baar Muskura Do


Ik Baar Muskura Do
Afsaana-e-Chaman Ka
Unwaan Hi Badal Do
Phoolon Ka Sar Kuchal Do
Kallion Ka Dil Massal Do

Aakaash Ki Javaani
Baadal Main Mu'n Chupaye
Mahtaab Doob Jaaye
Taaron Ko Neend Aaye
Zohra Jabeen Pareeroo

Tamseel Maah-O-Anjum
Aankhain Sharaab Aanghi
Jazbaat Lain Talaatun
Hiltay Huay Labon Pay
Hansta Hua Taraana

Ay Dilnawaaz PaIkar
Khaatir Main Hai Zamaana
Labha-e-Ahmari Par
Nikhri Hui Hai Laali
Yeh Halki Halki Surkhi

Tasveer Hai Shafaq Ki
Aawara Shokh Zulfain
Rukhsaar Choomti Hain

Rukhsaar Choomti Hain
BayKhud Hain Ghoomti Hain
Ho Zeest Ka Sahaara
Tum Moj Mein Kinara

LIkin Suno Khudara

Ik Baar Muskura Do
Ik Baar Muskura Do

Ik Naujavaa'n Musaafir
Fitrat Ka La-Ubaali
Ik Aalm e Junoomi
Ik Samt Ja Raha Tha
Jesay Kay Apni Dhun Mein

Parbat Pay Chadh Raha Tha
Zulfain Kay Muntasher Thi'n
Chehray Say Muzmail Tha
Nazrain Kay Rah Pay Thi'n

Kitna Shikast-e-Dil Tha
Maazi Ki Dhool'Akoon main
Ik Aks Paa Raha Tha
Guzra Hua Zamaana
Phir Yaad Aa Raha Tha
Armaan Tadap Rahay Thay

Hasrat Machal Rahi Thi
Baytaab Zindagaani
Karvat Badal Rahi Thi

Gin Gin Taaray
Haye Bechaaray
Gin Gin Taaray
Haye Bechaaray

Chain Na Aaye
Jee Ghabraaye
DIkh To Kya Hai
Kon Basa Hai
Deeda-e-tarr mi
Neechi Nazar Mi

Sheesha-e-Dil Mi
Aankh Kay Til mi
Dil Ko Jalaana
Khel Hai Jaana
Dil Ko Jala Kar

Aag Laga Kar
Khud Bhi Jalo Gay
Haath Malo Gay

Tum Sham-e-Farozaa'n Ho
Khud Bhi Jalo, Jala Do

LIkin

Ik Baar Muskura Do
Ik Baar Muskura Do

Tum Jaan-e-Mud'aa Ho
Ik Husn Dilruba Ho
Itna To Mein Kahoon Ga
Meri Hi Is Ghazal Ka
Rangeen Kaafia Ho

Ik Baat Tum Say Poochoon
Bolo Jawaab Do Gy
Yeh Husn Yeh Javaani
Sarkaar Kya Karogy
Honton Ki Muskurahat

Becho Ghareed Loonga
Manzoor Ho To Bolo
Anmol Daam Doonga
LIkin
Ik Baar Muskura Do
Ik Baar Muskura Do..


No comments:

Post a Comment