Raston ki Marzi hai Be-Zameen
Logon ko Be-Qarar ankhon ko
Bad-Naseeb Qadmon ko Jis
Taraf bhi le jaye
Raston ki Marzi hai Be-Nishan
Jazeeron per Bad-Gumaan
Shehron mai Be-Zuban Musafir
ko Jis taraf bhi Bhatka dain
Raston ki Marzi hai Rok dain ya
barhne dain Thaam lain ya Girne
dain Wasal ki Lakeeron ko Tor
dain ya Milne dain
Raston ki Marzi hai Ajnabi koi la
ker Humsafar bana dain Saath
chalne walon ki Raakh bhi ura
dalain Ya Musaftain sari Khaak
mai mila dain Raston ki Marzi hai.....
No comments:
Post a Comment