Zakhm-e-tanhai me.n
khushbu'E hina kisaki thi
sayaa dewar pay mera tha
sada kisaki thi
uski raftar se lipati rahi meri
aankhain
us ne mur kar bhi na dekha ki
wafa kis ki thi
waqt ki tarah dabe paon ye
kaun aya hai
main andhera jisay samajha
woh qaba kis ki thi
ansuon se hi sahi bhar gaya
daaman mera
hath to main ne uthaaye the
dua kisaki thi
meri aahon ki zaban koi
samajhata kaise
zindagii itani dukhi meray
siva kisaki thi
aag se dosti us ki thi jala ghar
mera
di gai kis ko saza aur Khata
kisaki thi
main ne biina_iyaa.N bo kar
bhi andheray katay
kis ke bas mein thi zameenn
abr-o-hava kis kii thii
chhor di kis liye tu ne "Muzaffar"
duniyaa
justjuu si tujhe har waqt bata
kisakii thii..
No comments:
Post a Comment